American Riyasat Alaska Ke Qasbe Utqiagvik Mein Do Mah Taweel Raat Ka Aghaz
Amriki riasat Alaska ke intehai shumaal mein waqi qasbe Utqiagvik mein rawan hafte do mah taweel raat ka aghaz hone ja raha hai.
Amriki riasat Alaska ke intehai shumaal mein waqi qasbe Utqiagvik mein rawan hafte do mah taweel raat ka aghaz hone ja raha hai.
18 November ko muqami waqt ke mutabiq dopehar 1 baj kar 42 minat par suraj ghuroob hoga, jis ke baad 65 din tak suraj dobara tulu nahi hoga aur makino ko 22 January tak intezar karna hoga.
Mahireen-e-falakiyat ke mutabiq is qudrati mazhar ko qutbi raat yani Polar Night kaha jata hai aur zameen ke mehwar par jhukao ke baais sardi mein suraj se door hone ki wajah se aesa hota hai.
Utqiagvik Arctic Circle se taqreeban 320 meel shumaal mein waqi hai, jahan taqreeban 4,300 afraad muqeem hain aur is ka purana naam Barrow tha jo 2016 mein tabdeel kiya gaya tha.
Source: MIM News on Facebook




Join the conversation