Kot Lakhpat Jail Mein Qaid PTI Rehnaion Ne Chief Justice Sahiban Ke Naam Khat Likh Diya
Lahore ki Kot Lakhpat Jail mein qaid PTI rehnaiyoun Shah Mehmood Qureshi, Yasmin Rashid, Umar Sarfraz Cheema, Mehmood-ur-Rashid aur Ejaz Chaudhry ne apne wakeel ki wasatat se Chief Justice Pakistan…
Lahore ki Kot Lakhpat Jail mein qaid PTI rehnaiyoun Shah Mehmood Qureshi, Yasmin Rashid, Umar Sarfraz Cheema, Mehmood-ur-Rashid aur Ejaz Chaudhry ne apne wakeel ki wasatat se Chief Justice Pakistan aur Chief Justice Islamabad High Court ke naam mushtarka khat likh diya.
Khat ke mutabiq siyasi rehnumaon ko baghair thos shahid ke muqadmat aur sazaon ka samna hai, woh koi siyasi riayat ya khusoosi sulook nahi mangte balkay ayeen ki baladasti aur bunyadi huqooq ka tahafuz chahte hain.
Siprim Court ne 18 August 2026 ko Bani PTI ko Shifa International Hospital muntaqil karne aur tibbi muainay ke liye mahir amraas-e-qalb aur aankhon ke doctor par mushtamil medical board banane ka hukam diya tha taham adalti hukam ke bawajood Bani PTI ko hospital muntaqil nahi kiya gaya, Bani PTI aur Bushra Bibi ko doctors tak rasai aur ilaj faraham kiya jaye.
Aseer rehnumaon ne Bani PTI ki ahl-e-khana, wakla aur beton se mulaqaton ke adalti ahkaamat par amal-daramad yaqeeni banane ki apil ki aur mutalba kiya ke qaid siyasi rehnumaon aur karkunon ke zer-e-iltwa muqadmat aur apailon par ghair janibdarana aur fori faislay kiye jayen.
Source: MIM News on Facebook




Join the conversation