Islamabad mein baldiyati setup ke bajaye misali intazami unit ke qiyam ka plan
Islamabad mein baldiyati setup ke bajaye misali intazami unit ke qiyam ka plan banaya gaya hai, jiske tehat mujawza assembly ke 25 se 30 arkan honge aur intekhab barah-e-rast hoga…
Islamabad mein baldiyati setup ke bajaye misali intazami unit ke qiyam ka plan banaya gaya hai, jiske tehat mujawza assembly ke 25 se 30 arkan honge aur intekhab barah-e-rast hoga jabke assembly mayor chunegi.
Zaray ke mutabiq KPK aur Punjab ke baaz ilaqe Islamabad mein shamil karne par ghor kiya ja raha hai, jismein Haripur, Rawalpindi aur Murree ke ilaqe shamil kiye jayenge.
Zaray ka kehna hai ke naya mujawza setup wifaq ke mathat hoga aur iske mutawazi ya motasadim nahi hoga.
Aini, qanuni aur intazami mahireen jald wazir-e-azam ko sifarishat pesh karenge.
Source: MIM News on Facebook




Join the conversation