Peshawar ki adalat ne shopping bag ki qeemat wasool karne par mashhoor brand NDURE ko jurmana kar diya
Peshawar ki sarif adalat ke judge Nasrullah Khan Gandapur ne shopping bag ke awaz izafi raqam wasool karne par jooton ke mashhoor brand NDURE ko majmooi tor par 40 hazaar…
Peshawar ki sarif adalat ke judge Nasrullah Khan Gandapur ne shopping bag ke awaz izafi raqam wasool karne par jooton ke mashhoor brand NDURE ko majmooi tor par 40 hazaar 20 rupay jurmana aaid kar diya hai.
Adalat ke faisle ke mutabiq brand darkhwast guzar sarif Sara Sial ko shopping bag ke liye gaye 20 rupay wapas karega, 20 hazaar rupay harjana ada karega, aur mazeed 20 hazaar rupay qomi khazanay mein jama karwayega.
Khawateen ne 23 October ko shikayat darj karwai thi aur sirf teen hafton baad 14 November ko adalat ka tehriri faisla aa gaya, kyunke khawateen ne 11 October 2026 ko NDURE outlet se 4 hazaar 999 rupay ke joote khareede thay.
Adalat ne faisle mein qaraar diya ke company ne apne brand ki tashheer ke liye sarif ko marketing agent ke tor par istemal kiya aur is maqsad ke liye diye jane wale bag ki qeemat bhi wasool ki, jo ghair munsifana tijarti amal aur sarifeen ke huqooq ki khilaf warzi hai.
Source: MIM News on Facebook




Join the conversation