Janazay ke liye janay wali kashti durnghat, kam az kam 24 afraad halak
Janubi Nigeria mein janazay ke liye logon ko le janay wali ek kashti wahan ki Bayelsa riyasat mein doob gayi, jiske nateejay mein kam az kam 24 afraad halak ho…
Janubi Nigeria mein janazay ke liye logon ko le janay wali ek kashti wahan ki Bayelsa riyasat mein doob gayi, jiske nateejay mein kam az kam 24 afraad halak ho gaye.
Nigeria ki National Emergency Management Agency ke tarjuman Manzo Ezekiel ke mutabiq, kashti musafiron ko ek community se doosri community mein tadfeen ki taqreeb ke liye le ja rahi thi.
Police ke tarjuman Musa Muhammad ne bataya ke mazeed 24 afraad ko bacha liya gaya hai aur unhein tibbi madad ki zaroorat hai, jabke talash aur bachao ki karwaiyan jari hain.
Source: MIM News on Facebook




Join the conversation