Amrika mein Donald Trump ke qatl ki mubayyina sazish: Pakistani shehri Asif Merchant ko 27 saal 6 maah qaid ki saza
Amrika mein sadar Donald Trump samet ahem siyasi shakhsiyat ke qatl ki mubayyina sazish mein mulawwis Pakistani shehri Asif Merchant ko 27 saal 6 maah qaid ki saza suna di…
Amrika mein sadar Donald Trump samet ahem siyasi shakhsiyat ke qatl ki mubayyina sazish mein mulawwis Pakistani shehri Asif Merchant ko 27 saal 6 maah qaid ki saza suna di gayi hai.
Amrikli mahkama-e-insaf ke mutabiq 48 saala Asif Merchant ko New York ki wafaqi adalat ne 330 maah qaid ki saza sunayi. Unhein dehshatgardi aur muawze ke evaz qatl ki sazish ke ilzamat mein mujrim qarar diya gaya tha.
Amrikli istighasa ke mutabiq Asif Merchant ne 2024 mein mubayyina taur par Iran ki hidayat par sadar Trump samet ahem Amrikli siyasi shakhsiyat ko qatl karne ka mansooba banaya tha. Mumkina ahdaf mein sabiq sadar Joe Biden aur Republican rehnuma Nikki Haley bhi shamil thin.
Hukkam ka da'wa tha ke is sazish ka maqsad 2020 mein Amrikli hamle mein Irani commander General Qasim Sulaimani ki halakat ka badla lena tha.
Amrikli hukkam ke mutabiq Asif Merchant ne April 2024 mein mubayyina mansoobe ke liye aik shakhs ki madad hasil karne ki koshish ki, taham us shakhs ne qanoon nafiz karne wale idaron ko ittila di aur khufia mukhbir ban gaya, jiske baad Asif Merchant ko giraftar kar liya gaya.
Dauran-e-muqadma Asif Merchant ne aitraf kiya ke wo Irani Pasdaran-e-Inqilab se mansoob afrad ke sath rabte mein the. Taham unka moaqqif tha ke Iran mein maujood apne ahl-e-khana ke tahaffuz ke liye dabao ke tehat is mansoobe mein shamil hue.
Dusri jaanib Iran ne sadar Trump aur dusre Amrikli ohdedaron ke qatl ki sazish mein mulawwis hone ke ilzamat ki tardeed ki hai.
Source: MIM News on Facebook




Join the conversation