Shikarpur Police Arrests Three Suspects And Recovers 114 KG Gutka During An Operation
Shikarpur police ne aik bari karwai ke doran gutke ki supply nakam banate hue teen mulzaman ko गिरफ्तार kar liya hai aur 114 kilo gutka baramad kar liya.
Shikarpur police ne aik bari karwai ke doran gutke ki supply nakam banate hue teen mulzaman ko गिरफ्तार kar liya hai aur 114 kilo gutka baramad kar liya.
SSP Shikarpur Muhammad Kaleem ke ahkamat par karwai jari hai. SHO Thana Stuart Ganj Tariq Ahmad Khoso ne police nafri ke humrah Shar Laro ke ilaqe mein karwai ki.
Mulzaman Jacobabad se gari number LF 0633 ke zariye gutka supply karne ki koshish kar rahe thay. Police ne gari ke khufiya khanon se aath boron mein mojood gutka aur gari tehweel mein le kar mulzaman ke khilaf Gutka Act ke tehat muqadma darj kar liya hai.
Source: MIM News on Facebook




Join the conversation