Bahawalpur mein Khairpur Daha ke qareeb traafik haadse mein 7 afraad jaan-bahaq aur 2 zakhmi ho gaye
Bahawalpur mein Khairpur Daha ke qareeb sarak kinare khare mini truck par patron se load truck ult gaya, jis ke nateejay mein 7 afraad jaan-bahaq aur 2 zakhmi ho gaye.
Bahawalpur mein Khairpur Daha ke qareeb sarak kinare khare mini truck par patron se load truck ult gaya, jis ke nateejay mein 7 afraad jaan-bahaq aur 2 zakhmi ho gaye.
Rescue 1122 ke mutabiq haadse ke waqt mini truck par 9 afraad mojood thay, jis mein se 7 afraad moqa par hi jaan-bahaq ho gaye jabkay 2 zakhmi hain jinhein aspataal muntaqil kar diya gaya hai.
Rescue ahkaam ke mutabiq lashon ko excavator ki madad se nikala gaya, aur yeh haadse ka shikaar honay wala mini truck Khairpur Daha se Bahawalpur aa raha tha.
Source: MIM News on Facebook




Join the conversation