Malir ke Ibrahim Hyderi mein Sindh Mallah Forum ki jaanib se kashtion ki rally nikali gayi
Malir mein 21 November ko mahigeeron ke almi din ke mauqe par Ibrahim Hyderi mein kashtion ki rally nikali gayi, jis mein mahigeeron ki barri tadaad ne shirkat ki.
Malir mein 21 November ko mahigeeron ke almi din ke mauqe par Ibrahim Hyderi mein kashtion ki rally nikali gayi, jis mein mahigeeron ki barri tadaad ne shirkat ki.
Rally ki mezbani Sardar Sohail Shafique Mohammad Jamoot ne ki. Is mauqe par Sindh Mallah Forum ke markazi chairman Sain Rakhio Meerani, Zulfiqar Meerani aur Majid Sikandar Mallah samait deegar rehnuma bhi mojood thay.
Rehnumaon ne media se guftagu kartay huay kaha ke Sindh Mallah Forum har saal 21 November ko mahigeeron ka almi din manati hai, taham is saal Sindh ke mukhtalif zila mein alag alag program munaqit kiye ja rahay hain.
Unhon ne mutalba kiya ke bharti jelon mein qaid Pakistani mahigeeron ki rihai ke liye sifarati koshishen tez ki jaen aur mahigeeron ko un ke bunyadi huqooq aur maashi tahaffuz faraham kiya jaye.
Source: MIM News on Facebook




Join the conversation