Submarine Internet Cable Repair Work Expected To Be Completed By December 6
Zir-e-samandar bain-ul-alqami internet cable ki marmat ka kaam 6 December tak mukamal hone ki tawaqqa hai, jabke kharabi door hone tak sarfeen ko internet ki raftar mein kami ka samna…
Zir-e-samandar bain-ul-alqami internet cable ki marmat ka kaam 6 December tak mukamal hone ki tawaqqa hai, jabke kharabi door hone tak sarfeen ko internet ki raftar mein kami ka samna karna par sakta hai.
Internet faraham karne wali company ke mutabiq cable ki marmat mukamal hone tak khusosan masroof auqat mein internet service sust rehne ka imkan hai.
Is se qabal Pakistan Telecommunication Authority ne itlaa di thi ke Pakistan ke sahil se taqreeban 11 kilometer door SWW bain-ul-alqami zir-e-samandar cable nizam mein kharabi paida hui hai.
Source: MIM News on Facebook




Join the conversation