Karachi Mein Bus Route 9C Ke Khilaf Shikayat Par Mulzim Giraftar
Karachi mein bus route 9C ke conductor ke khilaf khawateen aur talibaat ko mubina taur par haras karne ki shikayat par karwai karte huay aaj mulzim ko giraftar kar liya…
Karachi mein bus route 9C ke conductor ke khilaf khawateen aur talibaat ko mubina taur par haras karne ki shikayat par karwai karte huay aaj mulzim ko giraftar kar liya gaya hai.
Guzashta roz MIM News HD aur Sehar Women and Children Welfare Trust ki janib se is maamle par shikayat samne laye jane ke baad mutaliqa hukam se karwai ka mutaliba kiya gaya tha.
Mubina taur par mulwis conductor ki giraftari ke baad idaron aur tanzemat ki mushtarka koshishein jaari rehne ka elan kiya gaya hai.
Source: MIM News on Facebook




Join the conversation