Karachi ke Ghoram Bugti Goth mein JUI UC Pipri ke amir ki dawat par ahem nishist
Karachi mein Maulana Qari Muhammad Ahsan Shar, amir Jamiat Ulema-e-Islam UC Pipri Karachi ki dawat par Ghoram Bugti Goth mein siasi aur mazhabi shakhsiyat ki ahem nishist hui, jis mein…
Karachi mein Maulana Qari Muhammad Ahsan Shar, amir Jamiat Ulema-e-Islam UC Pipri Karachi ki dawat par Ghoram Bugti Goth mein siasi aur mazhabi shakhsiyat ki ahem nishist hui, jis mein mehmono ke aizaz mein purtakalluf ashaiya diya gaya.
Taqreeb mein Hafiz Izhar-ul-Haq Siddiqui, Advocate Bashir Ahmed Malik, Qari Hamdullah Haqani, Qari Muhammad Yousuf Rehmani, Advocate Ali Muhammad Jaskani, Advocate Ayaz Ali Lar, Advocate Abdul Salam Chandio, Mama Ghulam Shabbir Khaskheli, Jameel Ahmed Bugti, Muhammad Saleem Bugti, Qari Muhammad Zaheer Ahsan Shar aur Qari Muhammad Huzaifa Ahsan Shar shamil thay.
Taqreeb mein ilaqai masail, Malir ki siasi sorat-e-hal, aur Jamiat Ulema-e-Islam ki tanzeemi sargarmiyon par tabadla khayal kiya gaya aur sharqan ne ittehad-o-ittifaq aur elaqe ki taraqqi ke liye mil kar kaam karne ke azm ka izhar kiya.
Akhir mein Maulana Qari Muhammad Ahsan Shar ne tamam mehmono ka shukriya ada kiya aur un ki tashreef awri ko apne liye bais-e-aizaz qarar diya.
Source: MIM News on Facebook




Join the conversation