Pakistan Peoples Party ke rehnumaon ki Bhit Shah mein Pir of Bhit Shah se mulaqat
Matiari mein Pakistan Peoples Party tehsil Hala ke sadr Mir Musrat Jafari, Syed Saif Ali Shah aur Makhdoom Ammar Haider ne Bhit Shah pohnch kar Qasr-e-Naz mein Pir of Bhit…
Matiari mein Pakistan Peoples Party tehsil Hala ke sadr Mir Musrat Jafari, Syed Saif Ali Shah aur Makhdoom Ammar Haider ne Bhit Shah pohnch kar Qasr-e-Naz mein Pir of Bhit Shah aur PPP ke rehnuma Syed Gada Hussain Shah Latifi se mulaqat ki.
Is moqe par Syed Jarrar Shah Latifi, Syed Fida Hussain Shah aur Syed Jamal Shah Latifi ne mehmaano ko Sindh ki saqafat ki alamat ajrak aur lungiyan pehna kar istaqbal kiya.
Mulaqat ke doran siyasi umoor, party ki tanzeemi soorat-e-hal samait Bhit Shah shehar ki falah-o-behbood, behtari aur taraqi ke hawale se tabadla-e-khayal kiya gaya.
Source: MIM News on Facebook




Join the conversation