Umerkot mein peshwarana gadagari aur bachon ke isteshal ke khilaf agahi walk nikali gayi
Umerkot mein Deputy Commissioner Umerkot Ejaz Ahmad Jatoi ki qayadat mein mehkama social welfare ke zehri ahtemam peshwarana gadagari, bheek mangne aur bachon ke isteshal ke khilaf awam mein shaoor…
Umerkot mein Deputy Commissioner Umerkot Ejaz Ahmad Jatoi ki qayadat mein mehkama social welfare ke zehri ahtemam peshwarana gadagari, bheek mangne aur bachon ke isteshal ke khilaf awam mein shaoor o agahi bidar karne ke liye ek walk rally nikali gayi, jo Deputy Commissioner Office Umerkot se shuru ho kar Press Club Umerkot par ikhtetam pazir hui.
Report ke mutabiq, is moqa par Deputy Commissioner Ejaz Ahmad Jatoi ne kaha ke peshwarana gadagari aur bachon se bheek mangwana ek sangeen samaji masla hai, jis ki roktam ke liye muashray ke har fard ko apna kirdar ada karna hoga aur bachon ko bheek mangwane ke bajaye taleem aur behtar mustaqbil ke mawaqay faraham karna hamari mushtarka zimdari hai.
Walk rally mein mehkama social welfare ke deputy director Noor Muhammad Shaikh, zilai intazamia ke numaindo, samaji shakhsiyat aur degar mutaliqa afraad ne shirkat ki, aur shurka ne awam mein agahi phelane aur bachon ke huqooq ke tahafuz ke azam ka izhar kiya.
Source: MIM News on Facebook




Join the conversation