Wazir-e-Azam Shehbaz Sharif aur Sadr Asif Ali Zardari ki Awan-e-Sadr mein mulaqat
Islamabad mein Awan-e-Sadr mein Wazir-e-Azam Shehbaz Sharif aur Sadr Asif Ali Zardari ki mulaqat hui jismein donon rehnumaon ne tamam mamlaat ka baat cheet aur mashawarat se hal nikalne par…
Islamabad mein Awan-e-Sadr mein Wazir-e-Azam Shehbaz Sharif aur Sadr Asif Ali Zardari ki mulaqat hui jismein donon rehnumaon ne tamam mamlaat ka baat cheet aur mashawarat se hal nikalne par ittifaq kiya.
Awan-e-Sadr se jari i'lamiya ke mutabiq mulaqat mein Wafaqi Wazir-e-Dakhal Mohsin Naqvi bhi mojood thay aur maujuda sorat-e-hal par guftagu ki gayi.
Mulaqat ke baad Awan-e-Sadr mein Peoples Party ka ahem ijlas hua jismein Sadr Mumlikat Asif Ali Zardari, Bilawal Bhutto Zardari, Faryal Talpur, Wazir-e-Ala Sindh Murad Ali Shah aur Suhail Anwar Siyal shareek huay.
Source: MIM News on Facebook




Join the conversation