Shikarpur mein sarafa bazar se 60 lakh rupay ka sona chori hone ka dawa police ne mustard kar diya
Shikarpur ki sarafa dhak bazar mein chand roz qabl do sunaron ki dukanon se mubina tor par 60 lakh rupay maliyat ka sona chori hone ke mamle mein naya mor…
Shikarpur ki sarafa dhak bazar mein chand roz qabl do sunaron ki dukanon se mubina tor par 60 lakh rupay maliyat ka sona chori hone ke mamle mein naya mor aa gaya hai.
SHO Stoor Ganj Shahnawaz Sheikh ne SSP Shikarpur ki hidayat par press conference karte hue police tafteesh ki tafsilaat media ke samne pesh ki aur dukanon se sona chori hone ke dawe ko mustard kar diya.
Shahnawaz Sheikh ka kehna tha ke police ne waqiye ke mukhtalif pehluon se tehqeeqat ki hai, jis ke doran samne anay wale haqaiq ki roshni mein dukan se kisi qisam ki chori sabit nahi hui.
Dusri janib, giraftar naujawano ke ahl-e-khana ki khawateen ki janib se ehtijaj bhi kiya gaya, jis ke baad mamle ne mazeed tawajjah hasil kar li hai.
Source: MIM News on Facebook




Join the conversation