Korangi Number Saadhay Teen Mein Gas Aur Pani Ke Bahraan Par Awam Shadeed Mushkilat Ka Shikar
MIM News ke mutabiq Karachi ke ilaqa Korangi Number Saadhay Teen, Sector 35 C Area aur N Area mein pichle 25 din se gas nahi hai aur pani ka buhran…
MIM News ke mutabiq Karachi ke ilaqa Korangi Number Saadhay Teen, Sector 35 C Area aur N Area mein pichle 25 din se gas nahi hai aur pani ka buhran pichle 8 saal se chal raha hai.
Is moqe par Jamaat-e-Islami ke UC chairman aur town se log wahan pohanche, jabke Pakistan Muslim League Functional se taluq rakhne wale Chaudhry Tanveer ne bhi awam ki hausla afzai karte hue kaha ke un ki tamam kaam honge.
Awam ka kehna hai ke woh sirf wade nahi balkay amli kaam chahte hain aur unhein pani, gas aur achi sarkein chahiye.
Source: MIM News on Facebook




Join the conversation