Sarwari Jamat ke roohani peshwa Makhdoom Jameel-uz-Zaman ka Tando Adam mein shandar istiqbal
Sarwari Jamat ke roohani peshwa aur dargah Makhdoom Nooh Sarwar ke sajada nasheen Makhdoom Jameel-uz-Zaman ki Tando Mitha Khan rawangi ke doran Tando Adam aamad par Dahari Petrol Pump ke…
Sarwari Jamat ke roohani peshwa aur dargah Makhdoom Nooh Sarwar ke sajada nasheen Makhdoom Jameel-uz-Zaman ki Tando Mitha Khan rawangi ke doran Tando Adam aamad par Dahari Petrol Pump ke maqam par purtapak istiqbal kiya gaya.
Is moqe par Sarwari Jamat Tando Adam ke sabiq sadr Mevo Faqeer Gaho, Gul Muhammad Dahari, Muhammad Ameen Haneef Varian, Taj Muhammad Varian, Sikandar Ali Gaho, Faqeer Muhammad Akhlaq Varian, Rana Yaqoob aur deegar ne Makhdoom Jameel-uz-Zaman ko Sindh ki saqafati soghat ajrakein aur longiyan pehnayin.
Baad azan Makhdoom Jameel-uz-Zaman ne Gul Muhammad Dahari ki janib se di gayi chaye ki dawat mein shirkat ki aur aqeedatmondon se mulaqatein keen. Taqreeb ke ikhtetam par Syed Niaz Hussain Shah ne ijtamai dua karai, jis ke baad woh apni manzil Tando Mitha Khan ke liye rawana ho gaye.
Source: MIM News on Facebook




Join the conversation