Pakistan Peoples Party ke rehnama Nawab Younis Talpur aur deegar shakhsiyat ka Umerkot mein mukhtalif ilaqon ka dora
Umerkot mein Pakistan Peoples Party ke rehnama Nawab Younis Talpur ne Nawabzada Mir Asif Khan Talpur, siasi samaji tijarati shakhsiyat Haji Muhammad Irfan Saleem Arain aur Rais Ali Raza Lashari…
Umerkot mein Pakistan Peoples Party ke rehnama Nawab Younis Talpur ne Nawabzada Mir Asif Khan Talpur, siasi samaji tijarati shakhsiyat Haji Muhammad Irfan Saleem Arain aur Rais Ali Raza Lashari ke humrah mukhtalif ilaqon ke doray kiye.
Rehnumaon ne gaon Sufi Ahmad Ali Dahdro mein PPP zila Umerkot ke general secretary Sufi Nawaz Ali Soomro ke bare bhai Faqir Nazar Ali Soomro ke behnoi Faqir Muhammad Yousuf ke intiqal par taaziyat ki.
Isi tarah union council Faqir Abdullah ke gaon Cheel Band mein Iqbal Memon aur Allahdino Memon ke walid ke intiqal par taaziyat ki gai, aur Sand mohalle mein Muhammad Ali Sand ke nojawan bete ke intiqal par bhi dukh ka izhar kiya gaya.
Baad mein rehnama gaon Sehoni Dars pohanche jahan Chakar Khan Dars ki ahliya ke intiqal par taaziyat ki gai aur marhumeen ke liye maghfirat ki dua ki gayi.
Source: MIM News on Facebook




Join the conversation