Sukkur ke Saint Mary High School mein shandar science numayish ka Inaqaad
Sukkur ke tareekhi Saint Mary High School mein aik shandar science numayish ka Inaqaad kiya gaya, jismein talba o talbaat ne 100 se zaid scientific projects pesh kiye.
Sukkur ke tareekhi Saint Mary High School mein aik shandar science numayish ka Inaqaad kiya gaya, jismein talba o talbaat ne 100 se zaid scientific projects pesh kiye.
Numayish ka iftitah sabiq rukan soobai assembly Syed Muhammad Bachal Shah aur Deputy Commissioner Sukkur Dr. Arshad Moughal ne mushtarak tor par fita kaat kar kiya.
Numayish mein shamsi tawanai, pani ke tahafuz, robotics, smart city, mauliyati aloodgi, ziraat aur tibbi science se mutalliq mukhtalif mauzuaat par models pesh kiye gaye aur talba ne mehmano ko briefing di.
Syed Muhammad Bachal Shah ne kaha ke science rooshan mustaqbil ki zamanat hai aur is tarah ki numayish bachon mein takhleeqi soch paida karti hai, jabke Dr. Arshad Moughal ne school intazamiya ki koshishon ko saraha.
Source: MIM News on Facebook




Join the conversation