Gulistan-e-Jauhar Block 17 mein nai sewerage line bichhane ka kaam kal se shuru hoga
Pakistan Peoples Party City Area PS-100, Ward 07, District East Karachi ki janib se Gulistan-e-Jauhar Block 17 mein Noman Grand City se 786 tak 360 feet nai sewerage line bichhane…
Pakistan Peoples Party City Area PS-100, Ward 07, District East Karachi ki janib se Gulistan-e-Jauhar Block 17 mein Noman Grand City se 786 tak 360 feet nai sewerage line bichhane ka kaam kal se shuru kiya jayega.
Is project ka maqsad ilaqay mein sewerage ke masail ko hal karna aur awaam ko behtar sahulat faraham karna hai.
PPP ke local zimmedaran aur jiyalay is kaam ki nigrani aur intizamat ke liye mutaharrik hain.
Source: MIM News on Facebook




Join the conversation