Matiari: Hala Purana Town Committee ke bharti shuda mulazmeen ne gair qanooni bhartiyon aur corrupion ke ilzamat ko rad kar diya
Matiari mein Hala Purana Town Committee ke andar mubina gair qanooni bhartiyon aur corruption ke khilaf bhook hartali camp qaim hone ke baad bharti shuda mulazmeen ne apne mauqaf mein…
Matiari mein Hala Purana Town Committee ke andar mubina gair qanooni bhartiyon aur corruption ke khilaf bhook hartali camp qaim hone ke baad bharti shuda mulazmeen ne apne mauqaf mein kaha ke woh pehle be rozgar thay.
Bharti hone wale mulazmeen Aku Sheed, Zohaib Umrani samait deegar ne media se guftugo karte hue kaha ke unhon ne kisi ko bhi paise de kar mulazmat hasil nahi ki, balkay unki bharti saal 2018 mein hui thi.
Mulazmeen ka mazeed kehna tha ke unke rozgar se 22 gharon ke choolhe jal rahe hain aur woh adalat ke ahkamat ki roshni mein dobara mulazmaton par bahal hue hain.
Source: MIM News on Facebook




Join the conversation