Noshahro Feroz mein chori ki bari wardat, 10 lakh naqdi aur sona chori
Noshahro Feroz ki Pir Qurban Colony mein namaloom choron ne Ghulam Murtaza Mastoi ke ghar ke tale tor kar 10 lakh rupay naqad, teen tola sona aur 2026 model ki…
Noshahro Feroz ki Pir Qurban Colony mein namaloom choron ne Ghulam Murtaza Mastoi ke ghar ke tale tor kar 10 lakh rupay naqad, teen tola sona aur 2026 model ki CD motorcycle chori kar li.
Mutasira khandan ke fard Ghulam Hadi Mastoi ne media se guftago karte hue bataya ke chor ghar ke tale tor kar andar dakhil huwe aur qeemti saman le uray.
Subah chori ka ilm hote hi police ko itla di gai jis par police jaye waqoo par phonchi, jabke fingerprint hasil karne ke liye mutaliqa amle ko bhi talab kiya gaya.
Ghulam Hadi Mastoi ne SSP Noshahro Feroz Mir Rohal Khoso se mutalba kiya ke chori ke is waqie ka sakhti se notice lete hue mulziman ko jald गिरफ्तार kiya jaye aur chori shuda saman baramad karwaya jaye.
Source: MIM News on Facebook




Join the conversation