Amriki Sadr Donald Trump Ne Kaha Hai Ke Iran Ko Kabhi Bhi Johari Hathyar Hasil Karne Nahi Dein Ge
Amriki Sadr Donald Trump ne bayan mein kaha hai ke woh George Bush nahi hain aur Iran ko kabhi bhi johari hathyar hasil karne nahi dein ge. Unhon ne kaha…
Amriki Sadr Donald Trump ne bayan mein kaha hai ke woh George Bush nahi hain aur Iran ko kabhi bhi johari hathyar hasil karne nahi dein ge. Unhon ne kaha ke johari khatray ke phailao ko roknay ke liye mil kar taawun karna hoga.
Doosri jaanib Amriki Naib Sadr JD Vance ne kaha ke Iran ko is liye johari hathyar hasil karne nahi de rahe kyun ke agar Iran nuclear power ban gaya to woh isay istemal karay ga.
Sadr Trump ke mutabiq America ke paas 4 hazar nuclear hathyar hain jabke Russia doosre number par hai aur China ke paas is waqt 600 nuclear hathyar hain. Unhon ne mazeed kaha ke un ke pehle daur mein nuclear hathyaroon ko upgrade kiya gaya aur naye banaye gaye.
Donald Trump ne kaha ke International Criminal Court out of control hai aur China ne pehli baar is ki mazammat karne par ittefaq kiya hai. Unhon ne kaha ke woh tijarat ke zariye mumalik ke darmiyan aman qaim karne ki koshish kar rahe hain.
Source: MIM News on Facebook




Join the conversation