Chunian mein zehreeli kheer se ek hi khandan ke 5 afrad ke jan bahaq hone par muqadma darj
Chunian mein 22 October ko zehreeli kheer khane se ek hi khandan ke 5 afrad ke jan bahaq hone ke waqaye ka muqadma 4 afrad ke khilaf darj kar liya…
Chunian mein 22 October ko zehreeli kheer khane se ek hi khandan ke 5 afrad ke jan bahaq hone ke waqaye ka muqadma 4 afrad ke khilaf darj kar liya gaya hai.
Police ke mutabiq jan bahaq hone walon mein Qasim Ali, un ki ahliya aur 3 betay shamil hain, jabke darj FIR mein Qasim Ali ki beti par kheer mein zehreeli goliyan milane ka ilzam aaid kiya gaya hai.
FIR ke mutabiq zehreeli kheer khane ke baad khandan ke 6 afrad ki halat ghair ho gayi thi, jin mein se 5 afrad jan ki baazi haar gaye. Police ne waqaye par mazeed karrwai shuru kar di hai aur mulziman ki giraftari ke liye chhape mare ja rahe hain.
Source: MIM News on Facebook




Join the conversation