Bilawal Bhutto ke bayan par un ki nahli ka khatra paida ho gaya hai, Rana Sanaullah ka bayan
Wazir-e-azam ke musheer baraye siyasi umoor Rana Sanaullah ne media se guftago karte huwe kaha hai ke Bilawal Bhutto ke is bayan par ke 27 wen tarmeem jabri aksariyat se…
Wazir-e-azam ke musheer baraye siyasi umoor Rana Sanaullah ne media se guftago karte huwe kaha hai ke Bilawal Bhutto ke is bayan par ke 27 wen tarmeem jabri aksariyat se ki gayi un ki nahli ka khatra paida ho gaya hai.
Rana Sanaullah ne kaha ke agar aik party ka leader yeh kahe ke maine dabao mein akar ayeeni tarmeem par vote diya hai to is bayan se un ki nahli bhi ho sakti hai, aur Bilawal Bhutto 27 wen tarmeem ke tehat banne wale judicial commission ke beneficary hain.
Un ka kehna tha ke naye sobon ki behs abhi parliament mein dakhil nahi hui, aur agar referendum hona hai to referendum ka faisla bhi parliament ko karna hai.
Is moqe par Tehreek-e-Insaf ke Barrister Umair Niazi ne sawal uthaya ke itni bari baat aik party chief kar raha hai to 27 wen tarmeem ki kya haisiyat reh jati hai.
Source: MIM News on Facebook




Join the conversation