Karachi Mein Danish Gah-e-Iqbal Ka Haftawar Muzakra No. 32 Kamyabi Ke Saath Ikhtitam Pazeer
Karachi mein ilm-o-adab aur fikr-e-iqbal ke farogh ke liye Danish Gah-e-Iqbal ke zehri ahtimam haftawar muzakra number 32 kamyabi ke saath ikhtitam pazeer ho gaya.
Karachi mein ilm-o-adab aur fikr-e-iqbal ke farogh ke liye Danish Gah-e-Iqbal ke zehri ahtimam haftawar muzakra number 32 kamyabi ke saath ikhtitam pazeer ho gaya.
Yeh ilmi-o-adabi nashist 17 November 2026 baroz mangal munaqib hui jis mein kalam-e-iqbal, muzakra ghazal number 52 aur kitab Baal-e-Jibreel hissa doyam ke hawale se ahem ilmi-o-fikri guftagu ki gai.
Taqreeb ki sadarat mohtaram Mukhtiyar Hayat ne ki jabke mehmanan-e-khusoosi ki haisiyat se mohtaram Shabbir Nazish aur Dr. Iftikhar Malik Advocate ne shirkat ki. Is ilmi-o-adabi mehfil ke bani-o-mezban Dr. Abid Sherwani Advocate thay jo Urdu aur Farsi mein kalam-e-iqbal ke sharih bhi hain.
Source: MIM News on Facebook




Join the conversation