Pakistani Scientist Dr Manzoor H Soomro Ki Chin Mein Almi Conference Mein Keynote Address Ke Zariye Numaindagi
Sukkur se Rahmatullah Burro ki report ke mutabiq, Pakistan Science Foundation ke sabaq chairman aur maaroof pakistani scientist Dr Manzoor H Soomro ne Chin ke shahr Kaifeng, sooba Henan mein…
Sukkur se Rahmatullah Burro ki report ke mutabiq, Pakistan Science Foundation ke sabaq chairman aur maaroof pakistani scientist Dr Manzoor H Soomro ne Chin ke shahr Kaifeng, sooba Henan mein munaqiqah International Conference on Vocational Education 2026 mein keynote speaker ki haisiyat se Pakistan ki numaindagi ki.
Kaifeng Vocational College mein munaqiqah is almi conference mein mukhtalif mumalik ke mandubeen, mahireen-e-taleem aur sayati shobay se wabasta shakhsiyat ne shirkat ki, jis ka maqsad fanni aur peshawrana taleem ko almi satah par farogh dena tha.
Apne khitab mein Dr Manzoor H Soomro ne kaha ke Pakistan ki nojawan abadi mulk ka sab se bara sarmaya hai aur Pakistan ki ausat umar taqreeban 20.8 saal jabke Chin ki ausat umar 40.8 saal hai.
Unhon ne Chin aur Pakistan ke darmiyan vocational education, mushtarak tarbiyati programon aur technology par mabni taleem ke shobon mein tawoon barhane ki tajweez di aur kaha ke fanni taleem sayati tarqi aur rozgar ki bunyad hai.
Source: MIM News on Facebook




Join the conversation