Sehwan Sharif mein 20 December ko Sindh satah ka ehtejaji ijtima karne ka elan
Sehwan Sharif mein 18 November 2026 ko Majlis Wahdat-e-Muslimeen Pakistan Suba Sindh ke sadr Allama Maqsood Ali Domki ne Dargah Hazrat Lal Shahbaz Qalandar par hazri ke baad press conference…
Sehwan Sharif mein 18 November 2026 ko Majlis Wahdat-e-Muslimeen Pakistan Suba Sindh ke sadr Allama Maqsood Ali Domki ne Dargah Hazrat Lal Shahbaz Qalandar par hazri ke baad press conference ki.
Unho ne kaha ke Dargah ka 300 sala qadimi alam pak, muqaddas tabarukaat, mehrab aur us par tehreer muqaddas asmaa ke khilaf sazish qabool nahi hai aur maqddasat ke tahaffuz par koi samjhota nahi kiya jaye ga.
Allama Maqsood Ali Domki ne demand ki ke ashikan-e-Ahle Bait aur millat-e-Jafriya ke numaindon ke sath fori taur par ijlas munaqib kiya jaye aur un ke tahaffuzat door kiye jayein.
Unho ne elan kiya ke matalbat ke haq mein 20 December ko Sehwan Sharif mein Sindh satah ka azeem ush-shaan ehtejaji ijtima munaqib hoga.
Source: MIM News on Facebook




Join the conversation