Sanghar: Chaudhry Muhammad Nadeem Sidhu ne Jat biradari ko mutahid karne ke liye Jat Welfare Alliance Sindh ke qiyam ka elan kar diya
Sanghar mein Chaudhry Muhammad Nadeem Sidhu ki jaanib se Jat biradari ko aik platform par mutahid karne ke liye Jat Welfare Alliance Sindh ke qiyam ka elan kiya gaya hai.
Sanghar mein Chaudhry Muhammad Nadeem Sidhu ki jaanib se Jat biradari ko aik platform par mutahid karne ke liye Jat Welfare Alliance Sindh ke qiyam ka elan kiya gaya hai.
Chaudhry Muhammad Nadeem Sidhu ne kaha ke Jat biradari ke ittehad, ittefaq aur baahmi rabton ko farogh dene ke liye Jat Welfare Alliance Sindh ke platform se jidd-o-jehd ki jayegi. Unka kehna tha ke biradari ki taraqqi, falah-o-behbood aur naujawan nasl ki rehnumai hamari awwaleen tarjeehat mein shamil hain.
Unhon ne kaha ke biradari ke tamam afrad ko ikhtilafat bhula kar aik platform par mutahid hona hoga, taake ijtimai masail ke hal aur falahi sargarmiyon ko moassar andaz mein aage barhaya ja sake.
Chaudhry Muhammad Nadeem Sidhu ne is azm ka izhar kiya ke Jat Welfare Alliance Sindh ko poore soobe mein munazzam aur faal banane ke liye amali iqdamat kiye jayenge.
Source: MIM News on Facebook




Join the conversation