Sukkur mein Leo Biscuit Factory ke mazdooron ka Labor Department ke daftar ke samne ehtejaj
Sukkur mein niji company Leo Biscuit Factory ke mazdooron ne huqooq ki khilafwarziyon aur na-insafiyon ke khilaf Labor Department ke daftar ke samne ehtijaji muzahira kiya. Is mauqe par mazdooron…
Sukkur mein niji company Leo Biscuit Factory ke mazdooron ne huqooq ki khilafwarziyon aur na-insafiyon ke khilaf Labor Department ke daftar ke samne ehtijaji muzahira kiya. Is mauqe par mazdooron ne hathon mein banners utha rakhe the aur intizamia ke khilaf narebazi ki.
Mazdooron ka kehna tha ke factory mein pesh aane wale masail aur shikayat ka fori notis liya jaye aur shafaf tehqeeq kar ke zimdaron ke khilaf karwai amal mein lai jaye. Mazdooron ne khabardar kiya ke agar mutalbat tasleem na kiye gaye to ehtejaj ka dairah mazeed wasee kiya jayega.
Source: MIM News on Facebook




Join the conversation