Muzaffargarh mein baap ne tez dhaar aalay se do betiyon ko zibah kar diya
Muzaffargarh ke ilaqay Seetpur mein ek baap ne tez dhaar aalay se apni do betiyon ko zibah kar diya.
Muzaffargarh ke ilaqay Seetpur mein ek baap ne tez dhaar aalay se apni do betiyon ko zibah kar diya.
Police ke mutabiq milzim ne khud ko aur apni biwi ko bhi zakhmi kar liya, jinhein hospital muntaqil kar diya gaya. Police ne milzim ko hospital se harasat mein le liya hai.
Police ka kehna hai ke milzim ko bete ki khwahish thi aur woh mubina tor par doosri shadi karna chahta tha. Doosri shadi ke tanaza par biwi se jhagra hua tha aur mazeed tafteesh jari hai.
Source: MIM News on Facebook




Join the conversation