Peshawar ke Imran Khan Cricket Stadium ka naam tabdeel karke Arbab Niaz Cricket Stadium bahal kar diya gaya
Governor Khyber Pakhtunkhwa Faisal Karim Kundi ne ailan kiya hai ke Peshawar ke Imran Khan Cricket Stadium ka naam tabdeel karke dobara purana naam Arbab Niaz Cricket Stadium bahal kar…
Governor Khyber Pakhtunkhwa Faisal Karim Kundi ne ailan kiya hai ke Peshawar ke Imran Khan Cricket Stadium ka naam tabdeel karke dobara purana naam Arbab Niaz Cricket Stadium bahal kar diya gaya hai.
Smaji rabte ki website X par apne paigham mein governor ne kaha ke aaj hum Arbab Niaz Stadium ka tarikhi naam bahal kar rahe hain aur PTI ke is faisle ko wapas le rahe hain.
Faisal Karim Kundi ne mazeed kaha ke yeh iqdami pashawar ki tarikh ko mehfooz rakhne aur tarikhi warse ka ehtram karne ke liye hai.
Source: MIM News on Facebook




Join the conversation