Pakistan mein December 2026 ke doran sarkari aur niji idaron ke mulazmeen aur tulba ko lagataar teen chhutiyan milengi
Pakistan mein December 2026 ke doran sarkari taateel aur haftawar chhution ke baais panch roza working week rakhne wale sarkari o niji idaron ke mulazmeen aur tulba ko lagataar teen…
Pakistan mein December 2026 ke doran sarkari taateel aur haftawar chhution ke baais panch roza working week rakhne wale sarkari o niji idaron ke mulazmeen aur tulba ko lagataar teen chhutiyan milengi.
Quaid-e-Azam Muhammad Ali Jinnah ka yom-e-wiladat aur Christmas 25 December 2026 baroz Juma ko manaye jayenge aur is moqa par mulk bhar mein aam taateel hogi. 25 December ko Juma hone ke baais panch roza haftawar nizam ke tehat kaam karne wale daftaron aur talimi idaron mein Juma, hafta aur itwar ko lagataar teen din ki chhutiyan hongi.
Hafte mein chhe din kaam karne wale idaron ke mulazmeen aur tulba ko Juma 25 December ki aam taateel ke baad hafta 26 December ko mamool ke mutabiq kaam ya talimi sargermiyon ke liye wapas aana hoga, jabke itwar ko haftawar chhuthi hogi. Cabinet Division ke 2026 ke sarkari taateelaat ke schedule ke mutabiq 26 December ko Maseehi mulazmeen ke liye Christmas ke agle din ki khususi chhuthi bhi muqarrar ki gayi hai.
Source: MIM News on Facebook




Join the conversation