Pakistani khalabaaz Muhammad Zeeshan Chin ke khalaee station pahunch gaye
Chin ka khalaee mission Shenzhou 24 kamyabi ke sath Chini khalaee station se mansalik ho gaya hai, jis mein Pakistani khalabaaz Muhammad Zeeshan bhi shamil hain.
Chin ka khalaee mission Shenzhou 24 kamyabi ke sath Chini khalaee station se mansalik ho gaya hai, jis mein Pakistani khalabaaz Muhammad Zeeshan bhi shamil hain.
Chini sarki khabar agency ke mutabiq, Pakistani shahri Chini khalaee station par pahunchne wale pehle ghair-mulki khalabaaz ban gaye hain.
Khalaee mission ki parwaz ka marhala subh 5 baj kar 18 minat par Chin ke khalaee markaz se shuru hua, aur is moqe par wazir baraye mansobabandi Ahsan Iqbal aur Chin mein Pakistan ke safeer bhi mojood thay.
Khalabaaz Zeeshan Ali ke hamrah do Chini khalabaas bhi khalaee shuttle mein sawar hain, jo aik haftay tak khala mein mojood reh kar mukhtalif sakhsiyat aur scientific tajurbaat anjam denge.
Source: MIM News on Facebook




Join the conversation