Istemal shuda gariyon ki commercial daramad shuru, awam ko sasti aur miyari gariyan milnay ki tawaqqa
Islamabad mein National Press Club mein press conference kartay huay All Pakistan Car Dealers and Importers Association ke sadar Shoaib Khan ne kaha ke istemal shuda gariyon ki commercial daramad…
Islamabad mein National Press Club mein press conference kartay huay All Pakistan Car Dealers and Importers Association ke sadar Shoaib Khan ne kaha ke istemal shuda gariyon ki commercial daramad ka baqaida aghaz Pakistan ki auto market mein musabqat barhanay aur sarifeen ko munasib qeemat par miyari gariyan faraham karnay ki janib ahem paish raft hai.
Unhon ne bataya ke commercial import nai auto policy se mashroot nahi balkay qanooni tor par faal ho chuki hai, jis se aam karobari afraad bhi gariyon ki daramad kar saken ge. Yeh ijazat Economic Coordination Committee ne 24 September 2025 ko manzoor ki thi, federal cabinet ne 26 September ko toseeq ki jabkay 30 September ko SRO 1895(I)/2025 ke zariye jari ki gai.
APDA rehnumaon ne wazahat ki ke commercial import aur nai auto policy do alag mamlat hain, aur is se khas tor par 2000 CC tak ki gariyon, jesa ke 660 CC aur 1000 CC gariyon ki daramad se mutwasit tabqay ko ziyada faida pohnchay ga.
Association ne wazeer-e-azam Shehbaz Sharif, chief of army staff, maawan-e-khusoosi Haroon Akhtar Khan aur senator Faisal Vawda ka taawon par shukriya ada kiya aur mutaliba kiya ke tax riyaiton ke fawaid shafaf andaz mein awam tak pohnchaye jayen.
Source: MIM News on Facebook




Join the conversation