Sehwan Sharif Mein Hazrat Lal Shahbaz Qalandar Ke Salana Urs Se Pehle Taraqiati Mansobay Mukammal Karne Ki Hidayat
Commissioner Hyderabad Fiyaz Hussain Abbasi ne Sehwan Sharif ka daura kiya aur Hazrat Lal Shahbaz Qalandar ke salana Urs Mubarak se pehle tamam taraqiati mansobon ko muqarrara waqt par mukammal…
Commissioner Hyderabad Fiyaz Hussain Abbasi ne Sehwan Sharif ka daura kiya aur Hazrat Lal Shahbaz Qalandar ke salana Urs Mubarak se pehle tamam taraqiati mansobon ko muqarrara waqt par mukammal karne ki hidayat jari kar din. Unhon ne Deputy Commissioner Camp Office Sehwan Sharif mein ek aala sathi ijlas ki sadarat bhi ki.
Ijlas mein DIG Hyderabad Tariq Razaq Dharejo, Deputy Commissioner Jamshoro Ghazanfar Ali Qadri, SSP Jamshoro Zafar Siddique Chhanga, aur Chairman Municipal Committee Syed Shahzad Shah samait mukhtalif mahkamon ke afsaran ne shirkat ki. Ijlas ke doran shehar bhar mein jari taraqiati mansobon ki peshraft ka jaiza liya gaya aur afsaran se briefing hasil ki gayi.
Commissioner Hyderabad ne kaha ke Urs Mubarak ke mauqe par mulk bhar se zairin ki aamad motawaqqe hai, is liye bunyadi shahri sahulaton ki behtari aur kaam ki raftaar taiz karna zaroori hai. Unhon ne hidayat ki ke tameerati miyaar par koi samjhota bardasht nahi kiya jaye ga aur tamam mahkame bahami rabte ke tehat kaam mukammal karein.
Source: MIM News on Facebook




Join the conversation