Pakistan Mein Ek Saal Ke Dauran 94 Lakh Cyber Hamlon Ka Inkashaf
Islamabad mein Cyber Threat Intelligence Summit 2026 ke mauqe par guftagu karte huwe Kaspersky ke senior security muharrar Yousuf Abdul Monem ne bataya ke guzashta aik saal ke dauran Pakistan…
Islamabad mein Cyber Threat Intelligence Summit 2026 ke mauqe par guftagu karte huwe Kaspersky ke senior security muharrar Yousuf Abdul Monem ne bataya ke guzashta aik saal ke dauran Pakistan mein taqriban 94 lakh cyber hamlon ka pata chalaya gaya hai.
November 2025 se October 2026 tak ke 12 mahine ke dauran Kaspersky ne Pakistan mein devices par mabni 63 lakh se zaid aur web par mabni 31 lakh se zyada hamlon ka pata lagaya.
Yousuf Abdul Monem ke mutabiq, is doran Farsi zaban bolne wale hacktivist groups ki janib se bhi makhsoos noiyat ke cyber hamlon ka samna karna para jin ka buniyadi hadaf sarkari idare aur bahri shoba tha.
Source: MIM News on Facebook




Join the conversation